Yeah!
Zindagi ke do raste hai
Pehle pe tu, doosre pe hum
Jo main nahi aa sakta wahan
Tu aake yahaan kar de baat khatam
Kandho pe do baste hai
Pehle mein gham, dooje mein rakam
Dono hi bhare pade
Tu bata konsa uthaake tu keh degi
"Mere sanam"
Mere sanam, waqt hai kam
Do maare show, khokaa rakam
Zindagi hai tez, kaand-karam
Dono hi galat, kya hisaab tu mujhse karayegi
Main kehta raha, koi naa mila
Jo samjhe dil mein hai kya dard chhupa
Marz pata lag jaayega
To dawa apne aap mil jaayegi
Tu sataayegi aur rulaayegi
Aisi jeet bhi kya hi paayegi
Na bataayegi jab hum puchhenge
Kyu rishtе chhuda ke
Ye mann mera bhaagе
Tum aake kabhi gale se lag jaao naa
Sir pe mere haath rakh jaao naa
Ki zindagi khafa hai
Toh toote hum saare
Tum aake kabhi baat kar jaao naa
Din mein meri raat kar jaao naa
Main rota toh wo haste hai
Lehza hai sakht naa aa rahi sharam
Maine paas se apno ko dekha toh sab the paraaye
Galib dekh ke aa gayi sharam
Aankhein bhi band kar sakte hai
Par kyun kare hum jo nahi ye bharam
Sach aur hota dilkash jab
Nayi zindagi leke chal padte tere sang
Saare leke tere gham
Main hawa mein udaa deta saare tere rang
Main paiso ki kashti banake duba deta sab
Aur hata deta jo naa ho pasand
I mean, its fine, think less
Smoke some, don't stress
In this world we exist
Making memories we don't expect
Cheers
Kyu rishte chhuda ke
Ye mann mera bhaage
Tum aake kabhi gale se lag jaao naa
Sir pe mere haath rakh jaao naa
Ki zindagi khafa hai
Toh toote hum saare
Tum aake kabhi baat kar jaao naa
Din mein meri raat kar jaao naa