Ae Watan Mere Watan Lyrics Romy
top of page

Ae Watan Mere Watan Lyrics Romy



Ae Watan Mere Watan Lyrics


soti huyi awaam ko

ab neend se hai jagaana

ab ye karo ya maro ka parcham

haath mein hai uthaana



sab khade ho

sab khade ho sath mein toh

shubh wohi hai shagun

tu sunn ae watan mere watan sunn

ae watan mere watan

hai yahi inquilab ki dhun

ae watan mere watan


ae watan mere watan sunn

ae watan mere watan

hai yahi inquilab ki dhun

ae watan mere watan


aansuon mein lahu mila ke

rang de yeh aasman

atish-e-azaadi ko phir

dekhe sara jahaan


unhe imtehaan hum de chuke

abb khudko hai azmaana

abb iss khiza ke saaye mein

ik phool ko hai khilana


teri kismat vash mein kar le

lakshya apna chunn


ae watan mere watan sunn

ae watan mere watan

hai yahi inquilab ki dhun

ae watan mere watan


ae watan mere watan sunn

ae watan mere watan

hai yahi inquilab ki dhun

ae watan mere watan

Tags:

34 views0 comments
bottom of page